Family Issues- Inheritance | Urdu

🎧 Want to listen instead? [Watch the full video here] 
🔁 Available in: English | Urdu

Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,

Jab Khandaan Muh Mod Lete Hain

Woh mamu, woh chacha, woh khala aur baaki koi bhi maa-baap ke parivaar ke log jab tumhe bolte hain ke tumhara koi haq nahi aur woh sab kuch khud apne liye chahte hain. 

Na tumhe apne baap ki taraf se kuch khaas milta hai aur na maa ki taraf se jab unki maut hojaye, na hi inheritance ka batwara sahi tarike se, imandari se hota hai, aur na maa-baap ki zindagi mein property ka koi batwara hota hai to aise hi kayi gharon mein masle aate hain.

 

Jo Sirf Dikhawa Kar Rahe Hain

Dunya ke dikhawe ke liye kuch log bolte phirenge ke woh tumhari parwah karte hain, tumhara khayal rakhte hain… aur pata nahi kya kya… magar tumhe aur unko bhi pata hai ke Allah ke zariye se tumhara khane ka intezaam aur rehne ka intezam kahin hogaya hai aur ab tum na chahte hue bhi majburi me wahin ho.

 

Asal Madad Ya Sirf Baatein?

Dunya me log jitna bhi jhoot bol lein, tum aur woh khud aur Allah bhi jante hain ke tumhara baaki saara basic needs (basic zarooratein) chahe kuch khana, peena ho, nahana, dhona ho ya medical bills and hospital ke kharche, waghaira sab tum aur tumhari maa ka hai. Koi maa-baap ka saga aake tumhari madad nahi karta.

 

Asliyat Aur Dikhawa Ka Farq

Dunya-bhar mein aksar log kuch aur hi dhindora peet rahe hote hain aur sach kuch aur hi hota hai. 

Tum beshak sabr rakho, saath hi apne haq ke liye pucho. 

Agar koi tumhara haq yahan na de, toh insha Allah, Qayamat ke din unko woh dena padega bas is baat ka yaqeen aur itmenaan rakho. 

 

Tum Patthar Nahi, Insaan Ho

Koshish karne ke baad, kyun ke Allah ne jo tumhe haq diya hai, usko agar koi na de, tumhe poochne ka pura haq hai aur jab koi ghamand se kahe ke wahin pe lelo sab to khamosh na rehna aur jazbati hona aam baat hai kyun ke tum ek insaan ho.

 

Tumhari Koshish Kaafi Hai

Tumhe saari mumkin koshish ache se karne ke baad bhi agar kuch kam mile ya kuch na mile to tasalli rakho ke Allah sabko aazma raha hai, sirf tumhe nahi. Insha Allah, yahan jo haq maarte hain dusron ka, woh aksar paise, properties lete hain magar wahan jab wapas dene ki baat aati hai toh apni nekiyan (hasanat) dena padega aur agar woh khatam hojaye to tumhare gunah unko dediya jayega.

 

Tumhara Sabr Rang Laayega

Aur isme achi baat yeh hai ke insha Allah, tum Jannat me jaldi jaa sakoge. Sabr aur yaqeen Allah pe zaroor rakhna.

 

Jab Deen Ka Naam Le Kar Dabao Banaya Jaye

Aur jab koi rishtedaar apni mann-marzi se tumhare paas aaye aur tumhe kahe ke dunya ke dikhawe ke khatir unke khushi me shamil hojao aur tumhara dil na maanne pe jab woh tumhe is baat ki taana dete hain ke ‘Allah ne kaha hai rishte todne se insaan Jannat me nahi jata’ aur pata nahi kya kya…

 

Jo Log Khud Apni Ghalti Bhool Jate Hain

Toh yaad rakho ke Allah ne rishtedaron aur society, community phir insaniyat tak kis tarha ache se ek dusre ka saath dene, ek dusre ki madad karne ka ilm diya aur badhawa diya hai isi baat ka Islam mein bhi. Jab koi apne faide ke liye tumhe manipulate kare to ab tak ka tumhara experience (tajurba) jo raha woh mat bhoolo.

 

Ambiya (Alaihimussalaam) Ke Tajarbat Se Seekho

Na hi yeh bhoolo ke Adam (Alaihissalaam) ke bache Habil aur Qabil do bhai the. Ek bhai, dusra bhai ke khoon ka pyasa hogaya tha. 

Yusuf (Alaihissalaam) ke bhai bhi unke dushman ban gaye the. 

Muhammad (ﷺ) ke uncle khud unke dushman ban gaye the.

Issey yeh sabaq lo ke naam ke sage-khoon ke rishtedar hona badi baat nahi. 

Insaan ko rishte dil se nibhana aana chahiye. 

Warna sab khokle rishte hojate hain, sirf naam ke. Jo na dunya mein kaam aate hain aur na hi aakhirat mein.

 

Rishtey Door Se Bhi Nibhaaye Ja Sakte Hain

Toh kuch rishte door se nibhane wala faisla jab soch, samajh ke insaan karta hai, uske aas-paas ke logon ko bhi us baat ka ehtraam karna chahiye.

 

Insaaf Karo, Kyunke Allah Zaroor Karega

Jab tum khud ke saath zyadti na chahte ho par dusron ki burayi chahte ho, yaad rakho ke tumhe, hum sab ko aur is duniya, aur wahan ki aakhirat wali hamesha ki life mein jo kuch hai, sab kuch banane wale ki pakad bohot kasske hogi, insha Allah.

 

Doghlepan Se Bacho

Khauf karo khuda ka aye Musalmanon! Yeh mominon wali harkatein nahi jo aadhi adhuri, khoklapan jo tum dikhate phirte ho. Jab mann kare, Allah aur rasool ki baatein sirf apne faide aur dusron ko manipulate karne ke liye karte ho, baaki sab jismein Allah ne hamari hi behtari ke liye sab kaha ho, woh sab ignore karte ho.

Doghlapan yeh kise nahi dikhta? Ya to tum khud ko, ya dusron ko ya dono ko bewakoof bana rahe ho.

 

Naseehat Ko Ghalat Mat Samjho

Magar jab koi tumhe yeh yaad dilaye, toh uska shukriya ada karna chhodo, usko bhala-bura kehte ho. Kyun tum bhool jate ho ke Allah sab jaanta hai? Hadh me rehna chahiye sabko.

 

Paisa Sab Kuch Nahi Hota

Bas dusron ko paison ke scale me tolne walon, Khuda ka khauf karo! Woh jise chahe, jab chahe, maal-o-daulat dega, aur jab chahe kisi ko na de, jab chahe kisi se wapis lele. 

Sab Uske ikhtyar mein hain. Aur Woh (Allah) sab ko aazma raha hai. Har cheez tumhari nahi hai. Allah ki di hui hai.

 

Deen Ko Apni Marzi Se Mat Chuno

Aur jab tum mann-marzi se Allah ki baat sirf kuch cheezon me amal karoge jab tumhara faida, ho aur baaki kisi ko koi faida ho ya nuqsaan, tum Allah ke baaton ke khilaaf jane se nahi rukte, intezar karo bas us din ki deri hai jab Woh (Allah) faisla karega!

 

 

 

 

 

 


Book Recommendations

The Quran – English Meanings and Notes by Saheeh International

Ground Rules for a Healthy and Satisfying Relationship: An Integrated Faith-Based and Psychological Approach

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *